Friday, July 22, 2011

Maine to mohabbat ki hai

Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai



Mere dil ki mere jazbaat ki qeemat kya hai
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kya hai

Maine kyun pyar kiya tumne na kyun pyar kiya
In pareshan sawalaat ki qeemat kya hai

Tum jo ye bhi na batao to haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Tumko dunia ke gham-o-dard se fursat na sahi
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Sab se ulfat hi mujhse hi mohabbat na sahi
Main tumhara hoon wohi maire liye kya kam hai..!!


No comments:

Post a Comment