kaise har dard ko seene me chhupaye rakkhen?
aur hoton pe tabassum ko sajaaye rakkhen
aur hoton pe tabassum ko sajaaye rakkhen
jo the apne voh, zamaana hua, sab chhor gaye,
kab talak bazm ko GhairoN se sajaaye rakkhen
yeh sunaa hai ke vahaan der hai, andher naheen
to chalo, baihr-e-du’aa, haath uthaaye rakkhen
jab ye chhat jaayenge baadal to kiran phootegi
shama ummeed ki ek ham bhi jalaaye rakkhen
yun to bhoole se bhi ab yaad na koii aayega
ehteyatan hi magar ghar ko sajaaye rakkhen
dil me soii huii chingaari ne karwat lii hai
ab to is aag se daaman ko bachaaye rakkhen
hoga ‘Bejaan se zinda yeh chaman bhi ik roz
bas teri yaad ke paudon ko lagaaye rakkhen
No comments:
Post a Comment