Dhundhla gaya ye saara jaha magar
yaadein teri dhundhlati nahi hai,
Aaker kehti hai kano me hawayein
kuch jab tu muskurati nahi hai,
Tu chali gayi yu door mujhse magar
Yaadein teri door jaati nahi hai,
Koshishe karta hua bhulane ki tujhko
magar tu bhulayi jati nahi hai,
Yaadon se chalti hai dhadkane meri
Jaan dena bhi chahu to jati nahi hai,
Tu kuch is tarah basi hai zehen me mere
Teri aankhon ki surkhiya bhulayi jati nahi hai,
Zakham ab bhi gehre hai jo diye the tune
lalima unki marham se bhi jati nahi hai,
Shikve nahi tujhse Shikayat nahi tujshe
fir bhi kyu tu bhulayi jati nahi hai,
Dhundhla gaya ye saara jaha magar
yaadein teri dhundhlati nahi hai.
No comments:
Post a Comment