Sunday, October 23, 2011

kaise har dard ko seene me chhupaye rakkhen


kaise har dard ko seene me chhupaye rakkhen?
aur hoton pe tabassum ko sajaaye rakkhen

jo the apne voh, zamaana hua, sab chhor gaye,
kab talak bazm ko GhairoN se sajaaye rakkhen

yeh sunaa hai ke vahaan der hai, andher naheen
to chalo, baihr-e-du’aa, haath uthaaye rakkhen

jab ye chhat jaayenge baadal to kiran phootegi
shama ummeed ki ek ham bhi jalaaye rakkhen

yun to bhoole se bhi ab yaad na koii aayega
ehteyatan hi magar ghar ko sajaaye rakkhen

dil me soii huii chingaari ne karwat lii hai
ab to is aag se daaman ko bachaaye rakkhen

hoga ‘Bejaan se zinda yeh chaman bhi ik roz
bas teri yaad ke paudon ko lagaaye rakkhen

Thursday, October 20, 2011

Tere Ashko ke Paimane


Tere Ashko ke Paimane Chalkte hai kuch aise,
Jaise sard subah me chayi ho Os ki Boonde,

Teri Zulfon ka Saaya dikhta hai kuch aisa,
Jaise Sard Hawao me Jhuki koi Ped Ki Shakha,

Teri Ankhon ki chamak me hai kuch ajab se rawani,
Jaise sagar ki gehrai me chamkta ho koi Moti,

Teri Aawaj ki gehrai bhi lagti hai kuch aisi,
Jaise Koyal koi Gaaye Bagiya me subah ko,

Main tujhe chahta to hu lekin baya nahi kar sakta,
Tere shayar chahe shayari ko magar bata nahi sakta.....


Tere Ashko ke Paimane Chalkte hai kuch aise,
Jaise sard subah me chayi ho Os ki Boonde!!!!!

Wednesday, October 5, 2011

Yaadein Teri


Dhundhla gaya ye saara jaha magar
yaadein teri dhundhlati nahi hai,

Aaker kehti hai kano me hawayein
kuch jab tu muskurati nahi hai,

Tu chali gayi yu door mujhse magar
Yaadein teri door jaati nahi hai,

Koshishe karta hua bhulane ki tujhko
magar tu bhulayi jati nahi hai,

Yaadon se chalti hai dhadkane meri
Jaan dena bhi chahu to jati nahi hai,

Tu kuch is tarah basi hai zehen me mere
Teri aankhon ki surkhiya bhulayi jati nahi hai,

Zakham ab bhi gehre hai jo diye the tune
lalima unki marham se bhi jati nahi hai,

Shikve nahi tujhse Shikayat nahi tujshe
fir bhi kyu tu bhulayi jati nahi hai,

Dhundhla gaya ye saara jaha magar
yaadein teri dhundhlati nahi hai.

Sunday, October 2, 2011

Bina Tere is Duniya me Raha Nahi Jata


Koi Khushi, Koi Gham Itna Saha Nahi Jata,

Is Kaatil si Duniya me Tanha raha nahi Jata,

Koi Fariyad karta hai ye Dil wo Poori Nahi Hoti,

 Koi Arzoo Dabi Dil me Jaahir nahi Hoti,

Jindagi wo Kaagaj ki Kashti Hai Jo Kinara Nahi Pati,

 Mere in Bebak Ashko ko ab Sambhala nahi jata,

Zindagi se hume ye shikwa rahega Umar saari,

 Kyu Duniya Khelti Hai Khel Ajeebo Gareeb se,

Kyu Takdeer bhi Humari saath Unka Deti Hai,

Ye Manzar Gamo ka ab Sambhala Nahi Jata,

Ye Duniya Khoobsurat hai Magar ab yaha Raha Nahi Jata,

Koshishe Lakh ki maine magar ab Jiya Nahi Jata,

Bina Tere is Duniya me Raha Nahi Jata,

Bina Tere is Duniya me Raha Nahi Jata............