Monday, September 26, 2011

chahta hu main


Ik aisa geet gana chahta hu main !

Khushi ho ya gam, bas muskurana chahta hu main !!

Dosto se dosti to har koi nibhata hai !

Dusmano ko bhi apna banana chahta hu main !!

Jo ham ude uchahi par akele to kya naya kiya !

Har kisi ke saath pankh failana chahta hu main !!

Vo sochte hai ki main akela hu unke bina !

Tanhai saath hai mere itna batana chahta hu main !!

Khuda, tamanna itni si hai... kabul karna !

Muskurate huye hi tere pass aana chahta hu main !

Dosti



Dosti yani Ek haath jiski behad zarurat ho,

Ek saath jab lamhe behad khubsurat ho,

Ek mulaqat jise mil ke ho muraad puri,

Ek jiske jane se lage jindgi adhuri,

Ek Jazba jisse jiye zindagi poori,

Ek Muraad jo kabhi na rahe adhoori,

Ek Kalpana jo badalde jeevan apna,

Ek humafar jo rahe saath  umra poori,

Ek Bahana Jisse Mile apna sa koi,

Ek Fariyaad bas jo ho jaye Poori,

Par kabhi rahe na humari ye Dosti Adhoori......  

Sunday, September 18, 2011

Kaise


Aye Pyar tujhe mere is Pyar ki Kasam,
Na Kar mujhe Paresha Itna,
Koshish karunga tujhe Bhulane ki,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Na de tu mujhe Dard Itna,
Tu kyu mujhme sama gaya is tarah,
Kyu main tujhe nahi bhula paa raha,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Tujhe bhulana jaruri h bahut,
Tujhe Paane ki Keemat bhi kam nahi,
Kis tarah tere sapno ko mitau,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Tu kyu aaya Zindagi me meri,
Ab bata main tujhe juthlau kaise,
Main Koshish bhi nahi kar pa raha iski,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Jinki aankhon me sapne baste hai mujhe dekhkar,
Tu hi bata Unki aankhon me Aansu Lau Kaise,
Jinhone diya mujhe pyar Barso se,
Unke Us pyar ko Thukrau kaise,

Nahi main nahi kar sakta kuch aisa,
Mere faristo ka Dil main Dukhau Kaise,
Tu hi bata aye Pyar mere,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise.

WO RISHTE


Kabhi nazre milane me lamhe beet jate h,


kabhi nazre churane me zamane beet jate h,


kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri me,


kisi ko ghar banane me zamane beet jate h,


kabhi kali gahri raat hume ek pal ki lagti h,


kabhi ek pal bitane me zamane beet jate hu,


kabhi khola darwaja khadi thi samne manzil,


kabhi manzil ko pane me zamane beet jate h,


ik pal me tute jate h umar bhar k "WO RISHTE" ,


"WO RISHTE", jo banane me zamane beet jate hain... 

Friday, September 16, 2011

Kuch Rishte aise Anjane se




Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Jo jud jate h kuch pal me hi thoda saath nibhane se,
Jo haste sang h rote sang h harpal saath nibhate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Jab aane lage dukh Jeevan me dhaal wo ban jate h,
Jo khudh dukh pakar bhi tumko Khusiyan hazaar de jate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Vipdao me bhi aap unhe apne saath khada pate h,
Unhe dekhte hi aap mand mand muskaate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
jinko dekh kathinayi me aap khudh khush nahi reh pate h,
jinke bina aap kuch waqt bita nahi paate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Aise hi kuch Rishte Dosti Kehlate h.

Sunday, September 11, 2011

Aye chand kyu



Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Tere deedar ko tarse jinke nayan h,
Teri chamak ki aarju h jinki abhi baaki,
Jaa pyas bujha un pyasi akhiyan k,
Nahi mujhko jarurat teri chandni ki.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Teri roshni to dhundhla gayi h,
Teri chamak to jaise viraano me sama gayi h,
Wo chahte h tujhe dekhna magar tu waha nahi h,
Jaa kar tu roshan unke aashiyan ko.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Ujjwal,Nirmal, Dhoodh si Ujali,
Teri roshni to h bade mad wali,
Na kar tu itna guroor teri roshni par,
Mere chand ki roshni h tujhse nirali.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Maana sitare nahi h waha par,
Magar unki kami bhi dikhti nahi h,
Wo karti h roshan mere jaha ko,
Unki Roshni man ko sukoo deti h.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Friday, September 9, 2011

Wo pagal si ek ladki

Bahar se nafrat thi,
Par dil mein woh mere basta thi !
Wo pagal si ek ladki,
Jo dekh ke mujhko hansti thi !!

Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtata hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!

Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deti ab dikhayi !
Roz guzarti thi si raah se wo,
Uska yahi rasta tha !!

Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar roti thi wo,
bahar-bahar hansti thi !!

Monday, September 5, 2011

Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi

Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....
koshish bhi ki unhe yaad dilane ki to wo bhi vifal rahi....
kis tarah bebas lachaar hokar rah gaye hum is zamane me....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

shayad tha yahi tak saath us ooffff....kya likhu koi rishta hi na bacha ho jab
shayad tha yahi tak saath us angel ka meri zindagi me....
magar karke roshan ek baar jahan ko wo andhera kyu kar gaye zindagi ko...
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

Maayne badal gaye zindagi ke ek pal me hi ....
maayne badal gaye zindagi ki ek pal me hi...
bejaan ho gayi zindagi aise jaise kabhi thi hi nahi....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

kya gunaah kiya tha humne... kya gunaah kiya tha humne...
hume to ye bhi pata nahi...
koshish bhi ki unhe yaad dilane ki to wo bhi vifal rahi....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

likhna to chaha itna magar likh bhi to sake nahi ,,,,,,
dil me dard utha itna jitna usko bhi pata nahi.....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

Saturday, September 3, 2011

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaabon Mein Mile
Dhoond Ujde Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Fariston Jaisa
Dono Insaan Hain To Inum Itne Hijaabon Mein Mile
Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Behta Hai Sharaabon Mein To Sharabon Mein Mile
Ab Labon Mein Hoon Na Tu Hai Na Wo Maaji Hai Faraaq
Jaise Do Saaye Tamaana Ke Saraabon Mein Mile

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

दिल चाहता है

दोस्ती उन से करो जो निभाना जानते हो............... नफ़रत उन से करो जो
भूलना जानते हो................ ग़ुस्सा उन से करो जो मानना जनता
हो........... प्यार उनसे करो जो दिल लुटाना जनते हो***

***आज तक
बहुत कुछ खोया है हमने,
लेकिन आज कुछ पाने को दिल चाहता है,

हर
हालात को ख़ुशी से कुबूल किया है हमने,
लेकिन आज उनसे लड़ने को दिल
चाहता है,

अब तक तन्हा थे जिंदगी में हम,
लेकिन अब किसी को अपना
बनाने को दिल चाहता है,

ना जाने कब से नहीं सोये हैं हम,
लेकिन
आज जी भरके सोने को दिल चाहता है,

चलते चलते बहुत थक गए हैं हम,
लेकिन
आज एक जगह रुक जाने को दिल चाहता है,

हर बात को हँस कर टाल देते थे
हम,
लेकिन ना जाने क्यूँ आज रोने को दिल चाहता है,

आज तक जिए
हैं हम सबकी ख़ुशी के लिए ,
लेकिन आज सिर्फ खुद के लिए जीने को दिल
चाहता है,

अब तक हर कदम रखा है हमने संभाल के ,
लेकिन आज बहक
जाने को दिल चाहता है,

हर कोई छोड़ जाता है बीच राह में हमे,
लेकिन
आज सबको तन्हा छोड़ जाने का दिल चाहता है..:(

Vishwas

Jinkey Vishwas Par Main Vishwas Kar Baithha
Vo Ab Bhi Nahi Kartey Hai Vishwas Mere Vishwas Par

Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai

Jinkey Vishwas Par Main Vishwas Kar Baithha
Vo Ab Bhi Nahi Kartey Hai Vishwas Mere Vishwas Par