Sunday, June 19, 2011

Talaash....

Har Subah Nikal Padta h jo khud ki talaash me,
Wo khoi hui si ek pehchan hu main,

na aankho me khwab h na dil me tamanna koi,
apni banayi hui raahon se hi anjaan hu main,

Kabhi zara si baat par aanshu baha deta tha,
aaj raah me padi lash ki tarah bejaan hu main,

Ankhon me khwab sajane ki bhi saja hui h mujhe,
Khilne se pahle hi jo tut jaye aisa ek armaan hu main,

Kis kadar fareb karta h samander ek kashti se,
Is zindagi ke har zulm ka nigehbaan hu main,

Jaane kitne hi armaan dafna chuka hu is Dil me main,
Ab to lagta h jaise khud hi "Kabristan" hu main..

Thursday, June 16, 2011

Mai aur meri tanhai

Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai
Kartey Hain Raaz Ki Baat Mai Aur Meri Tanhai

Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Mai
Kartey Hain Basar Raat Main Meri Tanhai

Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath
Laikin Rahain Gay Saath Main Aur Meri Tanhai

Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi Hum
Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai

Aa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye Hum Se
Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai

Wednesday, June 15, 2011

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

Tuesday, June 14, 2011

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaabon Mein Mile
Dhoond Ujde Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Fariston Jaisa
Dono Insaan Hain To Inum Itne Hijaabon Mein Mile
Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Behta Hai Sharaabon Mein To Sharabon Mein Mile
Ab Labon Mein Hoon Na Tu Hai Na Wo Maaji Hai Faraaq
Jaise Do Saaye Tamaana Ke Saraabon Mein Mile

Mein Apni Ankh Me Jab Us Ke Khuwab Sochta Hoo

Mein Apni Ankh Me Jab Us Ke Khuwab Sochta Hoo
To Kushboon Se Mehakte Gulab Sochta Ho
Ye Meri Taqat Parwaz Ka Hunar Hai Ke Mein
Huroof Likhta Hoon Laikin Kitab Sochta Hoon

Woh Aik Larki

Woh Aik Larki

Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai
Woh Ek Larki Jo Khilti Kanwal Hai
Woh Ek Larki Jo Taj Mehal Hai

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho

Woh Us Ki Gasoo Kaali Ghatain
Woh Us Ki Palkon Se lehrti Hawain
Woh Us Ki Yaadain Meri Wafayen

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho

Woh us Ki Aankhain Chamaktey Moti
Woh Us Ki Palken Aankhon Ko Chooten
Woh Us Ke Gaal Sehra-e-Moti

Woh Ek Larki Tum Hi Tu Ho

Woh Us Ke Lab Gulab Jaise
Woh Us Ka Maatha Khuli Kitab Jaisa
Woh Us Ki Rangat Shabab Jaisi

Woh Ek Larki Tum He To Ho

Ro parti he

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he.
wo mera khatt jo jalati he to ro parti he.
khoon dikhta hey mery marty hoye sapno ka,
khuwab ankhon main basati he to ro parti he.
log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
baat logon se chupaati he to ro parti he.
yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,
shaam chehra jo dikhaati he to ro parti he.
woh bary zubt bhary hosly wali larki,
ghum ko tahreer banati he to ro parti he.

Pariwar Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota

Pariwar Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota
Chahton Ki Dori Bhi,
Torni Hi Parti Hay
Manzilon Ki Kashti Bhi,
Morni Hi Parti Hay
Bhoolna Hi Parta Hay,
Khud Say Pyare Logon Ko
Aur Dil Kay Aangan Mein,
Naqsh UnKi Tasweerain
Kuch Haseen Lafzon Ki,
Kuch Haseen Tehreerain
Paaoon Jin Mein Jukrain Hon,
Kholna Hi Parti Hain
Khoobrurat Aankhon Mein Basne Wale Khawbon Ko
Nochna Hi Parta Hay
Dil Say Milta Her Rishta Torna Hi Parta Hay
Kyun Ke
Pariwar Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota!!!

Friday, June 10, 2011

दोस्ती

एक दिन प्यार और दोस्ती मिले,
प्यार ने दोस्ती से पूछा-
मेरे होते हुए तुम्हारा यहां क्या काम है?
दोस्ती बोली- मैं उन होंठों पे मुस्कान लाती
हूं जिन पें तुम आंसू दे जाते हो।
......................................
==============================
जो पल-पल चलती रहे- जिन्दगी
जो हर-पल जलती रहे- रोशनी
जो पल-पल खिलती रहे- मोहब्बत
जो किसी पल साथ न छोडे- दोस्ती।
...............
=================================
दोस्ती नाम है जिन्दगी का,
शुरू विश्वास से होती है
इससे बढकर कोई नाता नहीं,
खत्म आखिरी सांस पे होती है।
................
============================
नजर तुम्हारी, नजर हमारी,
नजर ने दिल की नजर उतारी
नजर ने देखा नजर को ऐसे कि
नजर दोस्ती को लगे ना हमारी।