Friday, December 30, 2011

नव वर्ष तुम्हारा हो मंगल !



नव वर्ष  तुम्हारा  हो  मंगल !
नव  वर्ष  तुम्हारा  हो  मंगल  !
जब  पूरब  वाली  खिड़की  से 
एक  नया  सवेरा  आयेगा 
जब  सूरज  तेरे  आँगन  में 
मद्धम  मद्धम  मुस्काएगा 
जब  भूरइ  बदल  अम्बर  में 
एक  लाल  सी  चादर  ओधेगें 
जब  पेड़ों  पर  नन्हे -नन्हे 
पंछी  सपनों से  जागेगें 
जब  अम्मी  तेरे  कमरे  में 
हौले - हौले  से  आएँगी 
बालों  के  काले  झुरमुट  में 
माथा  तेरा  सह्लायेंगी 
ममता  की  ऊष्मा  से  भरकर 
जब  बोझिल  पलकें  खोलोगे 
परियों  की  सुंदर  नगरी  से 
धीरे  - धीरे  से  लौटोगे 
जब  माँ  के  अंचल  में  अपना 
अलसाया  चेहरा  रखोगे 
दामन  के  स्नेहिल  तारों  में 
अपनी  ही  धड़कन  पायोगे 
जब  हरी  घास  पर  आकर  तुम 
फूलों  की  क्यारी  देखोगे 
जब  नन्ही  ओस  की  बूंदों  में 
ख़ामोशी  से  तुम  झांकोगे 
तब तेरी  छाया   में  बढ़कर 
तेरी  ही  काय  में  ढलकर 
कानो  में  फिर  धीरे  - धीरे  
मिसरी  से  भी  मीठे  – मीठे 
संगीत  सुनायुन्गा  तुमको 
नव  गीत  सुनायुन्गा  तुमको 
शुख  की  बारिश  में  हो  हरपाल 
जीवन  तेरा  निर्मल , उज्जवल 
नव  वर्ष  तुम्हारा  हो  मंगल  !
नव  वर्ष  तुम्हारा  हो  मंगल  !

Thursday, December 22, 2011

आज भी है ! ! !

तेरे लौट आने का इंतज़ार मुझको आज  भी  है ,
तेरे दिल खोलकर मुस्कुराने का इंतज़ार आज भी है,

यूँ तो दिल खोलकर कर हसना तो हमने भी छोड़ दिया तेरे जाने के बाद,
मगर तुझे देखकर हसने की तमन्ना दिल में आज भी है,

क्योंकि चाँद की चांदनी भी कहा टिकती है तेरे आगे ,
इसलिए तेरी चांदनी का दीदार करने की चाह आज भी है ,

वो महल जो तेरे जाने से हो गया था खहनडर,
उनमे खुशियों के दिए जलने की चाह आज भी है ,  

वो गलिया वो झरोके भी चुपचाप है तेरे जाने के बाद ,
उनमे मदमस्त हवा का शोर सुनने की चाह आज भी है ,

मेरे बागीचे के फूलों ने तो खिलना ही छोड़ दिया ,
मगर उन पर भंवरो की गुंजन सुनने की चाह आह भी है ,

न जाने कब लौटेंगे वो दिन जो गुजारे थे संग तेरे ,
तेरे हाथो से बनी उस चाय की तलब आज भी है ,

जो जलते थे लोग तुझे देखकर संग मेरे,
उनको एक बार और जलने की चाह आज भी है ,

यूँ तो बेहोश सा लगता हु तेरे जाने के बाद ,
मगर तेरे संग जीने की चाह बाकी आज भी है ,

तू ये जाने या शायद न जाने...........
तू ये जाने या शायद न जाने...........
तेरे लौट आने का इंतज़ार मुझे आज भी है......
तेरे लौट आने का इंतज़ार मुझे आज भी है......

आज भी है . . . . . . . . 

Friday, December 16, 2011

***FARQ***

***FARQ***
Sbhi insan h Magr FARQ sirf itna h
Kuch Zakhm dete h Kuch Zakhm bhrte h

 ¤HUMSAFAR¤
Sbhi h Magr FARQ sirf itna h
Kuch Sath dete h Kuch Chod jate h

 ¤PYAR¤
Sbhi krte h Magr FARQ sirf itna h
Kuch Jaan dete h Kuch Jaan lete h

 ¤DOSTI¤
Sbhi krte h Magr FARQ sirf itna h
Kuch Log Nibhate h Kuch Log Aajmate h

Monday, December 12, 2011

Accha Lagta Hai

Mujhe ab neend ka talab nhi, 
Ab raato ko jaagna achha lagta hai.....

Mujhe nhi maalum ki tum meri kismat mein ho ya nhi, 

Magar khuda se tumhe maangna achcha lagta hai.....

Jane mujhe haq hai ya nhi,
Par tumhari parvaah karna achha lagta hai......


Tumse pyar karna sahi hai ya nhi,

Par is ehsaas ko jeena achha lagta hai......

Kabhi hum saath honge ya nhi,
Par yeh khawaab dekhna achcha lagta hai.......

Tum mere ho ya nhi, 

Par tumhe hi apna kehna achcha lagta hai......

Dil ko behlaya bahut, par manta hi nhi, 

Shayad ise bhi tumhare liye dhadkna achcha lagta hai.................

Tuesday, November 22, 2011

Yaad

Aap ka ashiyana Dil me basaya hai,
apki yaado ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
Dost to hamne auro ko bhi banaya hai..

Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ki hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna…
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge.

Ye Dosti chirag hai ise jalaye rakhna,
ye Dosti gul hai ise khilaye rakhna,
Hum rahe na rahen is jahan mein…
Bas hamari yaad Dil me basaye rakhna..

Ajnabi galiyon se hum guzra nahi karte,
darde Dil liya aur diya nahi karte,
ye Pyara sa rishta sirf aapse hai,
warna itna yaad hum kisi ko kiya nahi karte..

aisa nahi ki aapki yaad aati nahi,
khata sirf itni hai ki hum batate nahi,
Dosti aapki ANMOL hai humare liye,
samajhte ho aap isliye hum jatate nahi.
.

Wednesday, November 9, 2011

Na Jane kyu aaj ankhon me neend nahi hai...


Na Jane kyu aaj ankhon me neend nahi hai...  
shayad dil me ajab si bechaini kahi hai.
na janu main ye hua ku hai aisa na jane ye kaisi talab dil me uthi hai...
shayad intezaar hai uska ya shayad kami mehsus ho rahi hai... 
na jane kyu aaj ankhon me neend nahi hai....  


Ye waqt bewaqt ki pabandi ne jaise kaidi bana diya hai hume..
Hume to unse milne ki fursat bhi nahi hai..
ye kaisa mod aaya hai zindagi ka.. 
wo humare pass hoker bhi nahi hai..
Na Jaane kyu aaj ankhon me neend nahi hai.... 


Maine poocha hai raat se kya khaas hai tujhme aaj..
wo boli aa bahar nikal ke teri kabra se aasman jagmaga raha hai aaj...
ye Poornima ka chand hai aur koi badal bhi nahi hai awara...
dekh roshan ho gaya hai ye jaha sara ka saara....fir bhi 
Na Jaane kyu aaj Ankhon me neend nahi hai... 


Roshan to hai ye jahan magar sirf tu hi nahi hai... 

Sunday, October 23, 2011

kaise har dard ko seene me chhupaye rakkhen


kaise har dard ko seene me chhupaye rakkhen?
aur hoton pe tabassum ko sajaaye rakkhen

jo the apne voh, zamaana hua, sab chhor gaye,
kab talak bazm ko GhairoN se sajaaye rakkhen

yeh sunaa hai ke vahaan der hai, andher naheen
to chalo, baihr-e-du’aa, haath uthaaye rakkhen

jab ye chhat jaayenge baadal to kiran phootegi
shama ummeed ki ek ham bhi jalaaye rakkhen

yun to bhoole se bhi ab yaad na koii aayega
ehteyatan hi magar ghar ko sajaaye rakkhen

dil me soii huii chingaari ne karwat lii hai
ab to is aag se daaman ko bachaaye rakkhen

hoga ‘Bejaan se zinda yeh chaman bhi ik roz
bas teri yaad ke paudon ko lagaaye rakkhen

Thursday, October 20, 2011

Tere Ashko ke Paimane


Tere Ashko ke Paimane Chalkte hai kuch aise,
Jaise sard subah me chayi ho Os ki Boonde,

Teri Zulfon ka Saaya dikhta hai kuch aisa,
Jaise Sard Hawao me Jhuki koi Ped Ki Shakha,

Teri Ankhon ki chamak me hai kuch ajab se rawani,
Jaise sagar ki gehrai me chamkta ho koi Moti,

Teri Aawaj ki gehrai bhi lagti hai kuch aisi,
Jaise Koyal koi Gaaye Bagiya me subah ko,

Main tujhe chahta to hu lekin baya nahi kar sakta,
Tere shayar chahe shayari ko magar bata nahi sakta.....


Tere Ashko ke Paimane Chalkte hai kuch aise,
Jaise sard subah me chayi ho Os ki Boonde!!!!!

Wednesday, October 5, 2011

Yaadein Teri


Dhundhla gaya ye saara jaha magar
yaadein teri dhundhlati nahi hai,

Aaker kehti hai kano me hawayein
kuch jab tu muskurati nahi hai,

Tu chali gayi yu door mujhse magar
Yaadein teri door jaati nahi hai,

Koshishe karta hua bhulane ki tujhko
magar tu bhulayi jati nahi hai,

Yaadon se chalti hai dhadkane meri
Jaan dena bhi chahu to jati nahi hai,

Tu kuch is tarah basi hai zehen me mere
Teri aankhon ki surkhiya bhulayi jati nahi hai,

Zakham ab bhi gehre hai jo diye the tune
lalima unki marham se bhi jati nahi hai,

Shikve nahi tujhse Shikayat nahi tujshe
fir bhi kyu tu bhulayi jati nahi hai,

Dhundhla gaya ye saara jaha magar
yaadein teri dhundhlati nahi hai.

Sunday, October 2, 2011

Bina Tere is Duniya me Raha Nahi Jata


Koi Khushi, Koi Gham Itna Saha Nahi Jata,

Is Kaatil si Duniya me Tanha raha nahi Jata,

Koi Fariyad karta hai ye Dil wo Poori Nahi Hoti,

 Koi Arzoo Dabi Dil me Jaahir nahi Hoti,

Jindagi wo Kaagaj ki Kashti Hai Jo Kinara Nahi Pati,

 Mere in Bebak Ashko ko ab Sambhala nahi jata,

Zindagi se hume ye shikwa rahega Umar saari,

 Kyu Duniya Khelti Hai Khel Ajeebo Gareeb se,

Kyu Takdeer bhi Humari saath Unka Deti Hai,

Ye Manzar Gamo ka ab Sambhala Nahi Jata,

Ye Duniya Khoobsurat hai Magar ab yaha Raha Nahi Jata,

Koshishe Lakh ki maine magar ab Jiya Nahi Jata,

Bina Tere is Duniya me Raha Nahi Jata,

Bina Tere is Duniya me Raha Nahi Jata............

Monday, September 26, 2011

chahta hu main


Ik aisa geet gana chahta hu main !

Khushi ho ya gam, bas muskurana chahta hu main !!

Dosto se dosti to har koi nibhata hai !

Dusmano ko bhi apna banana chahta hu main !!

Jo ham ude uchahi par akele to kya naya kiya !

Har kisi ke saath pankh failana chahta hu main !!

Vo sochte hai ki main akela hu unke bina !

Tanhai saath hai mere itna batana chahta hu main !!

Khuda, tamanna itni si hai... kabul karna !

Muskurate huye hi tere pass aana chahta hu main !

Dosti



Dosti yani Ek haath jiski behad zarurat ho,

Ek saath jab lamhe behad khubsurat ho,

Ek mulaqat jise mil ke ho muraad puri,

Ek jiske jane se lage jindgi adhuri,

Ek Jazba jisse jiye zindagi poori,

Ek Muraad jo kabhi na rahe adhoori,

Ek Kalpana jo badalde jeevan apna,

Ek humafar jo rahe saath  umra poori,

Ek Bahana Jisse Mile apna sa koi,

Ek Fariyaad bas jo ho jaye Poori,

Par kabhi rahe na humari ye Dosti Adhoori......  

Sunday, September 18, 2011

Kaise


Aye Pyar tujhe mere is Pyar ki Kasam,
Na Kar mujhe Paresha Itna,
Koshish karunga tujhe Bhulane ki,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Na de tu mujhe Dard Itna,
Tu kyu mujhme sama gaya is tarah,
Kyu main tujhe nahi bhula paa raha,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Tujhe bhulana jaruri h bahut,
Tujhe Paane ki Keemat bhi kam nahi,
Kis tarah tere sapno ko mitau,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Tu kyu aaya Zindagi me meri,
Ab bata main tujhe juthlau kaise,
Main Koshish bhi nahi kar pa raha iski,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise

Jinki aankhon me sapne baste hai mujhe dekhkar,
Tu hi bata Unki aankhon me Aansu Lau Kaise,
Jinhone diya mujhe pyar Barso se,
Unke Us pyar ko Thukrau kaise,

Nahi main nahi kar sakta kuch aisa,
Mere faristo ka Dil main Dukhau Kaise,
Tu hi bata aye Pyar mere,
Tujhe Aakhir Bhulau to Bhulau Kaise.

WO RISHTE


Kabhi nazre milane me lamhe beet jate h,


kabhi nazre churane me zamane beet jate h,


kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri me,


kisi ko ghar banane me zamane beet jate h,


kabhi kali gahri raat hume ek pal ki lagti h,


kabhi ek pal bitane me zamane beet jate hu,


kabhi khola darwaja khadi thi samne manzil,


kabhi manzil ko pane me zamane beet jate h,


ik pal me tute jate h umar bhar k "WO RISHTE" ,


"WO RISHTE", jo banane me zamane beet jate hain... 

Friday, September 16, 2011

Kuch Rishte aise Anjane se




Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Jo jud jate h kuch pal me hi thoda saath nibhane se,
Jo haste sang h rote sang h harpal saath nibhate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Jab aane lage dukh Jeevan me dhaal wo ban jate h,
Jo khudh dukh pakar bhi tumko Khusiyan hazaar de jate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Vipdao me bhi aap unhe apne saath khada pate h,
Unhe dekhte hi aap mand mand muskaate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
jinko dekh kathinayi me aap khudh khush nahi reh pate h,
jinke bina aap kuch waqt bita nahi paate h,
Hote h is jag me bhi Kuch Rishte aise Anjane se,
Aise hi kuch Rishte Dosti Kehlate h.

Sunday, September 11, 2011

Aye chand kyu



Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Tere deedar ko tarse jinke nayan h,
Teri chamak ki aarju h jinki abhi baaki,
Jaa pyas bujha un pyasi akhiyan k,
Nahi mujhko jarurat teri chandni ki.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Teri roshni to dhundhla gayi h,
Teri chamak to jaise viraano me sama gayi h,
Wo chahte h tujhe dekhna magar tu waha nahi h,
Jaa kar tu roshan unke aashiyan ko.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Ujjwal,Nirmal, Dhoodh si Ujali,
Teri roshni to h bade mad wali,
Na kar tu itna guroor teri roshni par,
Mere chand ki roshni h tujhse nirali.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Maana sitare nahi h waha par,
Magar unki kami bhi dikhti nahi h,
Wo karti h roshan mere jaha ko,
Unki Roshni man ko sukoo deti h.

Aye chand kyu kar raha h,
Peecha mera, is nisha me,
Tu jaa waha jine jarurat h teri chandni ki.

Friday, September 9, 2011

Wo pagal si ek ladki

Bahar se nafrat thi,
Par dil mein woh mere basta thi !
Wo pagal si ek ladki,
Jo dekh ke mujhko hansti thi !!

Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtata hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!

Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deti ab dikhayi !
Roz guzarti thi si raah se wo,
Uska yahi rasta tha !!

Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar roti thi wo,
bahar-bahar hansti thi !!

Monday, September 5, 2011

Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi

Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....
koshish bhi ki unhe yaad dilane ki to wo bhi vifal rahi....
kis tarah bebas lachaar hokar rah gaye hum is zamane me....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

shayad tha yahi tak saath us ooffff....kya likhu koi rishta hi na bacha ho jab
shayad tha yahi tak saath us angel ka meri zindagi me....
magar karke roshan ek baar jahan ko wo andhera kyu kar gaye zindagi ko...
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

Maayne badal gaye zindagi ke ek pal me hi ....
maayne badal gaye zindagi ki ek pal me hi...
bejaan ho gayi zindagi aise jaise kabhi thi hi nahi....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

kya gunaah kiya tha humne... kya gunaah kiya tha humne...
hume to ye bhi pata nahi...
koshish bhi ki unhe yaad dilane ki to wo bhi vifal rahi....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

likhna to chaha itna magar likh bhi to sake nahi ,,,,,,
dil me dard utha itna jitna usko bhi pata nahi.....
Bhool gaye wo hume aise jaise hum kabhi the hi nahi.....

Saturday, September 3, 2011

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaabon Mein Mile
Dhoond Ujde Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Fariston Jaisa
Dono Insaan Hain To Inum Itne Hijaabon Mein Mile
Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Behta Hai Sharaabon Mein To Sharabon Mein Mile
Ab Labon Mein Hoon Na Tu Hai Na Wo Maaji Hai Faraaq
Jaise Do Saaye Tamaana Ke Saraabon Mein Mile

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

दिल चाहता है

दोस्ती उन से करो जो निभाना जानते हो............... नफ़रत उन से करो जो
भूलना जानते हो................ ग़ुस्सा उन से करो जो मानना जनता
हो........... प्यार उनसे करो जो दिल लुटाना जनते हो***

***आज तक
बहुत कुछ खोया है हमने,
लेकिन आज कुछ पाने को दिल चाहता है,

हर
हालात को ख़ुशी से कुबूल किया है हमने,
लेकिन आज उनसे लड़ने को दिल
चाहता है,

अब तक तन्हा थे जिंदगी में हम,
लेकिन अब किसी को अपना
बनाने को दिल चाहता है,

ना जाने कब से नहीं सोये हैं हम,
लेकिन
आज जी भरके सोने को दिल चाहता है,

चलते चलते बहुत थक गए हैं हम,
लेकिन
आज एक जगह रुक जाने को दिल चाहता है,

हर बात को हँस कर टाल देते थे
हम,
लेकिन ना जाने क्यूँ आज रोने को दिल चाहता है,

आज तक जिए
हैं हम सबकी ख़ुशी के लिए ,
लेकिन आज सिर्फ खुद के लिए जीने को दिल
चाहता है,

अब तक हर कदम रखा है हमने संभाल के ,
लेकिन आज बहक
जाने को दिल चाहता है,

हर कोई छोड़ जाता है बीच राह में हमे,
लेकिन
आज सबको तन्हा छोड़ जाने का दिल चाहता है..:(

Vishwas

Jinkey Vishwas Par Main Vishwas Kar Baithha
Vo Ab Bhi Nahi Kartey Hai Vishwas Mere Vishwas Par

Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai

Jinkey Vishwas Par Main Vishwas Kar Baithha
Vo Ab Bhi Nahi Kartey Hai Vishwas Mere Vishwas Par

Friday, August 26, 2011

Chal Chal Re Rahi tu Chal

Chal Chal Re Rahi tu Chal,
Hai Rah Kathin Manzil Mushkil,
Par Na Haar Himmat Na Dagar Badal,
Chal Chal Re Rahi tu Chal,

Chal Chal Re Rahi tu Chal,
Jo Tu Jukha Jo Tu Ruka,
Kathin ho Jayegi ye Dagar,
Chal Chal Re Rahi tu Chal,


Chal Chal Re Rahi tu Chal,
Tujhme Hai Honsla Tujhme Hai Hummat,
Tujhme Junnon hai Manzil Paane ka,
Chal Chal Re Rahi tu Chal,

Chal Chal Re Rahi tu Chal,
Kar Paar Baadhao ko tu,
Bas Chale Ja Rah Pe,
Chal Chal Re Rahi tu Chal,

Chal Chal Re Rahi tu Chal,
Jo Tu Chalega, Himmat Karega,
Mil Jayegi Manzil Tujhe
Chal Chal Re Rahi tu Chal,

Chal Chal Re Rahi tu Chal,
Na Hogi Rah Kathin na Manzil Mushkil,
Par Na Haar Himmat Na Dagar Badal,
Chal Chal Re Rahi tu Chal,

Chal Chal Re Rahi tu Chal..........


Monday, August 15, 2011

yaar me hamne kya paya

yaar me hamne kya paya,
Kabhi khud roye to kabhi aapko roolaya,
Julm pe julm karti gayi duniya,
Aur ek main tha jo uf tak bhi na kar payA.  

Neend apni bhula kar sulaya hamko,
Aansu apne gira kar hasaya hamko,
Dard kabhi na dena us khuda ki tasweer ko,
Jamana kahta hai maa-baap jinko

Fir bhi kya bhool ho gayi mujhse


Maine tujhe chaha tha dil se
Fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
maine na manga tha kuch tujhse
fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
Maine bhi khai kasme thi
tune bhi kiye wade the mujhse
fir bhi kya bhool ho gayi mujhse........
jo chali gayi tu..... jo chali gayi tu..,,,,
ku khuda wo rootha mera mujhse
fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
lakh manaya lakh samjhaya
fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
maine tujhse chaha tha dil se
fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
tujhe rab da vasta aaja
tujhe rab da vasta aaja
nahi nikal paunga main tujhe dil se
fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
Jeena chaha tha sang tere
Marna Chaha tha sang tere
Fir bhi kya bhool ho gayi mujhse
Jo chali gayi tu..... Jo chali gayi tu.......

Saturday, August 13, 2011

Ye Desh Mera ye Desh Tera


Ye desh mera ye desh tera
Kar de is per kurban hum saara jahan
Iski maati me pale badhe
Isse hi sikha hai jeena

Ye desh mera ye desh tera
Karde is per kurban hum saara jahan
Ye karmbhoomi ye matrabhoomi
Ye desh shahido wala hai

Ye desh mera ye desh tera
Karde is per kurban hum saara jahan
Le sankalp iski raksha ka hum
Chukaye apna ye karz bada

Ye desh mera ye desh tera
Karde is per kurban hum saara jahan
Iski maati ne seecha hume
Seechkar is kaabil kiya

Kehna main chahu bas itna
Kuch farz h apna use nibha
Aa alakh jagaye hum milkar
Is rastra unnati me bhagi bane
Ye desh mera ye desh tera
Karde is per kurban hum saara jahan


~~~~~~~~~Jai Hind~~~~~~~~~
~~~~~~~~Jai Bharat~~~~~~~~~

Meri choti behna


Wo hai meri nanhi pari
wo hai meri jaan
Kehna chahu main use
Magar sune wo na…
Kuch bhi ho jaye to kehti
Papa ko kardungi shikayat
Aur main kehta na baba na…
chocolate ki deta tha rishvat
Use manane ko ….
kabhi kabhi to dant dene par hi
rone lag jati thi wo…..
Wo Hai Laadli Mummy ki…
papa ki to h wo jaan….
wo h meri aankh ka tara…..
Meri choti behna.