Monday, September 26, 2011

chahta hu main


Ik aisa geet gana chahta hu main !

Khushi ho ya gam, bas muskurana chahta hu main !!

Dosto se dosti to har koi nibhata hai !

Dusmano ko bhi apna banana chahta hu main !!

Jo ham ude uchahi par akele to kya naya kiya !

Har kisi ke saath pankh failana chahta hu main !!

Vo sochte hai ki main akela hu unke bina !

Tanhai saath hai mere itna batana chahta hu main !!

Khuda, tamanna itni si hai... kabul karna !

Muskurate huye hi tere pass aana chahta hu main !

1 comment: