Sunday, June 19, 2011

Talaash....

Har Subah Nikal Padta h jo khud ki talaash me,
Wo khoi hui si ek pehchan hu main,

na aankho me khwab h na dil me tamanna koi,
apni banayi hui raahon se hi anjaan hu main,

Kabhi zara si baat par aanshu baha deta tha,
aaj raah me padi lash ki tarah bejaan hu main,

Ankhon me khwab sajane ki bhi saja hui h mujhe,
Khilne se pahle hi jo tut jaye aisa ek armaan hu main,

Kis kadar fareb karta h samander ek kashti se,
Is zindagi ke har zulm ka nigehbaan hu main,

Jaane kitne hi armaan dafna chuka hu is Dil me main,
Ab to lagta h jaise khud hi "Kabristan" hu main..

No comments:

Post a Comment